हिंदी कविता - मासूम सा बचपन

#poetry #shayari #kavita #motivationalshayari


KITNA MAASUUM SAA HOOTA HAI YE BACHPAN...

 

NAA GILA NAA SHIKWAA SE BANDHA HAI YE BACHPAN...

 

HUMESHA KHELNE KUDNE MAIN HII KHOYA REHTA HAI YE BACHPAN...

 

NAA KISI KE LIYE MANN MAIN KUCH BURAA SOCHTA HAI YE BACHPAN...

 

BACHHO KO DEKH KAR HAR BADE INSAAN KO YAAD AA JAATA HAI YE BACHPAN...

 

BHAGDAUD BHARI ZINDAGI AUR PAISE KAMAANE KII DAUD SE BADI DUR HAI YE BACHPAN...

 

DIL MAIN AASMAAN TAK UDNE KA SAHAS RAKHTA HAI YE BACHPAN...

 

MAA BAAP KOO APNI POORI DUNIYAA SAMAJHTA HAI YE BACHPAN...

 

CHOOTI CHOOTI BAATOON KA BURRA NAI MAANTA HAI YE BACHPAN...

 

HAR DIN SCHOOL NA JAANE KA NAYA BAHAANA DHUDHTA HAI YE BACHPAN...

 

BINA DEKHE RANGOON SE NAYI DUNIYAA BANA LETA HAI YE BACHPAN...

 

KAAGAJ KII NAAV KO BAARISH KE BEHTE PAANI MAIN DUR TAK LEE JAATA HAI YE BACHPAN...

 

CYCLE KE PAHIYE KOO LAKDI KE DANDE SE MUHALLE KI SAIR KARWATA HAI YE BACHPAN... 

 

MAA KII MAMTA MAIN KHUD KOO SIMTAAYE RAKHTA HAI YE BACHPAN...

 

PAPA KE KANDE PAR BAITH KAR DUSHERE KA RAAVAN DEKHNE KA HAR SAAL INTEZAAR KARTA HAI YE BACHPAN...

 

KHWAABON KE SAMANDAAR MAIN HAR DIN DUBKIYA LAGATA HAI YE BACHPAN...

 

KAAMYAABI KOO PAANA YA NA PAANE KII DAUDH SE PARE REHTA HAI YE BACHPAN...

 

KADII DHOOP MAIN YAARON KE SATH KHELNE KAA LUTF UTHAYA KARTA HAI YE BACHPAN...

 

ANTT MAIN BUS ITNA HII KEHTA CHAHTA HUU...

 

NAA JAANE YE KAISI UNCHAHI ZINDAGI KII DAUDH MAIN HUMAIN CHODH GAYA HAI YE BACHPAN...

 

************ राहुल सप्रा************

 

*******My Gears*******

Nikon D3500 DSLR Camera - https://amzn.to/3hDxJyU

Boya Mic for Recording - https://amzn.to/2RyRb4Z

DSLR Tripod Stand – https://amzn.to/3bDRB0S

Samsung M31s Mobile – https://amzn.to/3tV28uY

Lightning Setup - https://amzn.to/3v4885T

Laptop - https://amzn.to/3ov4ShB

Comments

Popular posts from this blog

हिंदी कविता - उम्मीदों की कश्ती

Lohri Shayari 2019 | Lohri Poem

घाट नदी का