हिंदी कविता - वक़्त मिलता है

 #poetry #shayari #kavita #motivationalshayari


WAQT MILTA HAI TOO KABHII KHUD SE BAAT KAR LETE HAI

 

BEHTE SAMANDAR MAIN DUR TAK TAIRNE KAA JATTAN KAR LETE HAI

 

NAA JAANE YE MANN KYA KYA SOCHTA REHTA HAI HAR PAL

BUS YUHII MANN KOO BEHLAA FUSLAA KAR DIL KII BAATEIN CHAR KAR LETE HAI

 

WAQT MILTA HAI TOO KABHII KHUD SE BAAT KAR LETE HAI

 

 

KABHII LAGTA HAI KE ZINDAGI MAIN PAA LIYA SAB KUCH

 

KABHII LAGTA HAI KUCH KIYA HII NAHI UMAR BHAR

 

HAR PAL NAA JAANE KAISI AJEEB SII ULJHAN MAIN ULJHE REHTE HAI

JAB WAQT NIKAL JAATA HAI TOO GUZRE WAQT KE EHSAAS SE HII KAAM CHALA LETE HAI

 

WAQT MILTA HAI TOO KABHII KHUD SE BAAT KAR LETE HAI

 

 

KHUD SE BAAT KARTE KARTE KAISII BAATON KII ULJHANO MAIN ULAJHNE LAGTE HAI

 

ULAJH KAR PATA BHII NAI CHALTA KE AB INN ULJHII BAATON KOO SULJHAAYE KAISE

 

ARSAA GUZAR JAATA HAI AISE HII KABHII KISI BAAT TOO KABHII KISI AUR BAAT MAIN

 

ISSI TARAH ZINDAGI KII KITAAB KAA EK EK PANNA APNE HISAAB SE HII PADH LETE HAI

 

WAQT MILTA HAI TOO KABHII KHUD SE BAAT KAR LETE HAI

 

 

TV AUR MOBILE SE AB NAYA RISHTA BANN GAYA HAI INSAAN KA

 

KAAM KE BAAD JITNA BHI WAQT MILTA HAI BUS INME HII ULAJH KAR REH GAYE HAI

 

AB TOO JEE BHAR KE BAATEIN MOBILE PAR MUFT MAIN HII HOO JAATI HAI

 

TABHI TOO AAJKAL KHUD SE BAAT KARNE KII AADAT KOO KISI DUSRE PAL BADALNE KAA JATAN KAR LETE HAI

 

WAQT MILTA HAI TOO KABHII KHUD SE BAAT KAR LETE HAI

 

 

************ राहुल सप्रा************

 

*******My Gears*******

Nikon D3500 DSLR Camera - https://amzn.to/3hDxJyU

Boya Mic for Recording - https://amzn.to/2RyRb4Z

DSLR Tripod Stand – https://amzn.to/3bDRB0S

Samsung M31s Mobile – https://amzn.to/3tV28uY

Lightning Setup - https://amzn.to/3v4885T

Laptop - https://amzn.to/3ov4ShB

Comments

Popular posts from this blog

हिंदी कविता - उम्मीदों की कश्ती

Lohri Shayari 2019 | Lohri Poem

घाट नदी का